“Rahasyamayi Ghar”: A short story in Hinglish

riya's blogs
Written by:
Categories:

Written by: Ruhi Abdali

Priya apne family ke sath ek purane ghar mein shift hue thi,ghar ki umar hundred year thi,us ghar ki khamoshi or akelapan priya ko drane laga tha .ghar ke malik ne btaya ki pahly ye ghar ek aise family ka tha jo achanak gayab ho gyi thi , lekin priya ko en batoon par yakin nhi tha.

pahli raat jab priya ghar par soi thi, to usne ek ajeeb si awaaz suni,wo  awaaz kisi bachchy ki lag rhi thi,jo uske ghar ke gate ke bahar hi ro rha tha,priya ne gate khola to bahar koi bhi nhi tha, fir priya ghar k andar chali gayi, priya ke ghar ke andar jate hi wo awaaz bachchy ke rone ki fir se aany lagi,is baar priya ne apne maa-papa ko ye baat btayi,par unho ne kaha ke tum sapna dekh rhi hogi ,koi baat nhi hai so jao.lekin priya janti thi ke ye uska sapna nhi hai,ye awaaz sach mein aarhi hai.

Agli raat priya ne fir se whi awaaz suni,is baar wo awaaz ghar ke andar se aarhi thi. ye awaaz priya  ke room se aarhi thi ,priya jab room ke pass gayi to usne dekha ki uski almari ka darwaza thora khula hua tha,priya ne socha ke shayad wo band karna bhul hogi,priya jab almari band karne gayi, to use ek purani tasveer dekhi. us tasveer mein ek family thi jo usi ghar mein khara tha jisme priya rah rhi thi.

Tasveer mein ek choti larki thi ,jo priya ko ajeeb si lag rhi thi. Us larki ki ankhen badi or kaali thi,jaise priya ko ghur rhi ho.priya ne tasveer ko wapas almari mein rakh diya or almari ka darwaza band kr diya.

Lekin priya ne us raat fir se whi awaaz suni ,is baar priya ke kaano mein fusfusane ki aawaz aayi ,priya ko lga k jaise use koi uske naam se bula rha hai,priya…priya.

Priya jaldi se uth gyi har traf dekhi ,darwaza bhi khol kr dekhi pr koi nhi tha priya wapas apne bed par aakar sone ki koshish krne lagi magar nind use nhi aarhi thi .

Agli subah priya ne sab kuch fir se apne maa-papa ko btaya,priya ke maa-papa ne kaha ke ye ghar chhor dege .but priya ne mana kr diya ,priya ne apne maa-papa se kaha ki wah janna chahti hai ke is ghar mein kya hai ? or ye sab kyu ho rha hai ? use jo bhi aawazen sunai de rhi hai ya jo tasveer mein use dekhai de rha hai kya wo sab sach hai?

Priya ne us purani tasveer ko fir se almari se nikal kar dekha ,priya ne dekha ke larki ki ankhen ab or bhi zyada badi lag rhi thi . us tasveer mein jo larki thi wo priya ko ghur rhi thi.priya ko aisa lag rha tha jaise wo larki uske pass aati ja rhi hai.priya bhut dar gyi or usne us tasveer ko faad diya or tasveer ke sare tukron ko ghar se bahar  fenk diya.

Kuch der baad jab priya apne room mein aayi to usne dekha ke uski almari ka darwaza fir se khula hai ,priya ko laga ki wo tasveer ke dar ki wajah se band krna bhul gayi hogi.jab priya us darwaze ko band krne gyi to wo bhut hi zyada dar gayi ,uski ankhen khuli – ki – khuli rah gayi . priya isliye shock ho gayi kyuki jo tasveer usne faad kr ghar se bahar fenka tha , jiska ek-ek tukra  usne ghar se bahar fenk  diya tha,wo tasveer fir se usi almari mein rakhi hue thi.

Is baar us tasveer mein jo larki thi, uski aankhen puri trah se kaali thi, or wo tasveer wali larki priya ko dekh kr muskura rhi thi . ab priya bhut hi zyada dar jati hai ,wah almari ka darwaza band kr ghar se bahar bhag jati hai. or apne maa-papa se kahti hai ke main is ghar mein nhi rahungi .mujhe ab is ghar ke bare mein kuch bhi nhi janna hai,plz jaldi is ghar se mujhe dusre ghar mein  le jao.priya or uske maa-papa us ghar ko chhod kr turant hi chale gye.fir kabhi wapas nhi aaye.

Us ghar ke aas-pass ke log kahte hai ke us ghar mein aaj bhi ek larki ki aawaz sunai deti hai,jo priya ko pukaar rahi hoti hai. or  jo bhi us ghar mein jata hai wo kabhi wapas nhi aata hai.ghar ki khidkiyon se aksarek chhoti larki ki jhalak dekhai deti hai ,jo darwaze par khadi ho kr priya ko pukarti hai.aas-pass ke log us ghar se bhut dur rahte hai,or kahte hai wah ghar abhishapit hai.

Kuch log to yaha tak kahte hai ki agar aap raat ke time us ghar ke pass se guzre ge to priya ke baat krne ki aawazen aati hai ,jaise priya us tasveer wali larki se baat kr rhi hoti hai .lekin koi bhi us ghar ke andar jane ki himmat nhi karta hai.kabhi ghar ke andar apne – aap hi lights on ho jati hai to kbhi ghar ke darwaze apne-aap hi khul jate hai .

Aas-pass ke log ise larki ki aatma ka chakkar mante hai,jo us ghar mein rahti hai.ghar ki diwaron pr aksar ajeeb si tasveeren or nishaan dekhai dete hai,magar ghar puri trah khali hai ,usme koi nhi rhta hai.kai baar to wha per ke logon ne priya ko us tasveer wali larki ke sath ghar ke bahar khelte hue dekha hai.

Kuch sahsi logon se sach ka pata lagane ke liye ghar ke andar jane ki koshish ki ,lekin wo ghar se bahar kabhi nhi aapaye.us ghar mein jany walon ko us larki ki aatma apne sath le jati hai,fir wo kabhi wapas nhi aata hai .ghar abhi bhi khada hai,us ghar ki kahani ek rahasya ban kar rah gayi hai.lekin sachchai kya hai? Ye koi nhi janta hai,raat ke time ghar ke aas-pass ka ilaka bilkul susaan ho jata hai,log ghar ki taraf dekhne se bhi darte hai,us  ghar ko sabhi abhishapit ghar kahne lge hai.

 

Tags:

Share:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Related Blogs